Na manzil ka pata hain
Na saath kisika hain
Nahi jaanta kya galat hain kya hain sahi,
Raahi hu main parr raah nahi!
Chod aaya hu uss duniya ko
jahaan mujhe fizool ka waqt ho
yaaron ko bhi choda wahi
raahi hu main parr raah nahi!
Ek jwaala si hain mann ke andar
paal raha hu sapnon ka samandar
kuch karne ki chaah lekar chala hu kahin
raahi hu main parr raah nahi
Hain duniya badalne ki chahat
kaaton se saje hain yeh path
Samjhaata hu khud ko parr chain nahi
raahi hu main parr raah nahi!
This is iconic, so ravishingly written . Justified to the fullest .
ReplyDeleteThis is iconic, so ravishingly written . Justified to the fullest .
ReplyDelete