Showing posts with label Hindi. Show all posts
Showing posts with label Hindi. Show all posts

Saturday, 5 August 2017

Kaafi hai.

Lafzon ki zaroorat nahi,
Teri dhadkan hi kaafi hai..
Izhaar karne ki zaroorat nahi,
Teri muskuraahat hi kaafi hai..
Koi hal ki zaroorat nahi,
Tera hona hi kaafi hai..
Koi aur yaar, sansaar, ghar baar nahi chahiye mujhko..

Tere kandhon ka sahaara hi kaafi hai.

तुझमे वो जज़्बा है।

तू सिर्फ उठने की हिम्मत कर,
गिरना तो तक़दीर की बात है।
हौंसले की लौ को तूफानों में बुझने ना दे,
भूल मत, हर सवेरे की शुरुआत ही रात है।
किसी और पे निर्भर मत रह ए नादान,
अंदर झाँक ले ज़रा, तुझमे वो जज़्बा है जिससे बदलते हालात है। 

Thursday, 4 May 2017

वक़्त

कई बार ऐसा होता है,
के वक़्त मेरे साथ नहीं होता है।
पर मैं वक़्त का बुरा नहीं मानता,
वह दो पल का मेहमान है, उसे तोह गुज़रना ही होता है।

Thursday, 23 March 2017

तन्हाई

सब छोड़ गए हमे, सिर्फ तन्हाइयों ने साथ निभाया है,
अब ऐसी आदत पड़ गयी है इस तन्हाई की, के इसके बगैर अकेला महसूस करते है।

Monday, 6 March 2017

खुद ही को खोता चला गया।

औरों को लुभाने के चक्कर में,
कुछ और ही होता चला गया,
उनकी नज़रों में उठने के लिए,
खुद ही गिरता चला गया।
पाया तो कुछ भी नहीं इस पागल दौड़ में,
खुद ही को खोता चला गया।

Tuesday, 28 February 2017

Bhookh.

Apni bhookh mita lo saheb,
Fir jo bache usko छाँट lenge hum..
Bass bacha kucha tum fek na dena,
Usse aaj ki raat काट lenge hum..
Woh kya hai ki bachhe ka पेट hai,
Aukat nahi samajhta, samajhta sirf भूख hai..
Fir bhi khaana fekna chaaho,
Toh samajh lenge gareeb hona hi चूक hain..


Wednesday, 4 January 2017

Yeh safar.

Yeh safar, humsafar,
Kar gaya kuch aisa asar,
Na lautna chaahu ab main ghar,
Bass chalta rahe sadaa,
Yeh safar, humsafar.

Tuesday, 3 January 2017

Haasil.

Haasil.

Kuch aisa karke dikha,
Bann ja itna tu kaabil..
Ke tu manzil ko paaye na paaye,
Aa jaaye chahe kitni hi mushkil..
Teri tadap aur lagan dekh kar,
Khud manzil karle tujhko haasil.

Pyaar.

Arse beet gaye saath unke,
Socha sachha yaar tha woh..
Na jee paaye ek pal unke bin,
Harr mushkil mein taiyyar tha woh..
Aaj bhi woh humein yaar hi maante hain,
Kaun samjhaaye ki mera pyaar tha woh..

Wednesday, 21 December 2016

Taqdeer.

Iss darr ko haunsle mein tabdeel kar,
Apni aankhon mein kuch namumkin se sapne bhar,
Bahar nikal, chod aa apna ghar,
Dikha de duniya ko kya tujhme hain,
Apne haatho se apni taqdeer likh kar.

Friday, 16 December 2016

Raftaar.

Zindagi ki raftaar aisi ho ki hawaa ka rukh badal jaaye,
Sab dekhte rahe aur tu aasmaan ko chu jaaye..
Thamna tere taqdeer mein nahi,
Aise badh apni manzil ki aur,
Ki manzil khud paas aane parr majboor ho jaaye.

Wednesday, 30 November 2016

Main bhi khoobsoorat hu.

Meri tvacha ka rang nahi,
Rang hassee ka dekho zara..
Mere baalon ki lambai nahi,
Soch ki uchaai dekho zara..
Kabhi seene se nazar hataakar,
Iss dil mein jhaakon zara..
Bahar toh sirf dikhaawat hain mere yaar,
Meri asliyat ko ek mauka de do zara..
Khoobsoorat toh main bhi kam nahi,
Bass parakhne ka nazariyan badal do zara..

Thursday, 24 November 2016

Main woh hu.

Main woh hu jise tu jaanta nahi,
Door nahi hu tujhse,
Tujhi mein chipa hu kahin..
Aa mil mujhse, kuch baatein kar,
Jeena tujhko sikha du zara..
Kyu kisi aur pe nirbhar hain teri khushi,
Kya khud ki khushi pehchaanta nahi?
Teri uss khushi ka roop hu main,
Parr tu kambakht maanta nahi..

Saturday, 29 October 2016

Meri zindagi.

Tera saath hona zaroori nahi,
Meri saason mein hi teri maujoodgi hain..
Tera izhaar karna zaroori nahi,
Teri hasee mein hi manzoorgi hain..
Tujhe paana bhi zaroori nahi,
Iss doori mein hi meri aashiqui hain..
Tu chaahe yaad na karein mujhe,
Parr teri yaadon mein hi meri zindagi hain.

Tujhsa yaar!

Nahi jaanta hu main,
Kaisa aane waala kal hoga.
Mushkilein toh bahut hongi,
Shayad hi koi hal hoga.
Parr itni dua maangta hu main,
Ki tujhsa yaar harr pal hoga!

Sunday, 16 October 2016

Udta rahunga.

Rok lo chaahe jitna chaaho,
Haar na maanunga main.
Tum parr bhi le lo mere,
Fir bhi girne tak uddta rahunga main.
Tum kya kaid karoge mujhko,
Apne soch se hi udaan bharunga main.

Thursday, 22 September 2016

Parakh raha tha woh.

Bass apne pyaar ko parakh raha tha woh,
Kehta tha humaara pyaar toot jaayega,
Maine bhi keh diya tha uss se,
Woh din kabhi na aayega,
Tu hasega khud par, tu hi rooth jaayega,
Parr dil de baithi tum kisi aur ko,
Ab woh hum par haste hain,
Na bharosa hain ab pyaar pe,
Na koi manzil ab, na raste hain. 

Jee le.

Aaj hi ka waqt mila hain tujhko,
Jee le jo jee paayega..
Yeh ghadi, yeh pal yahaan jo,
Jaldi hi guzar jaayega..
Jo reyt ko na thaam saka hain,
Woh kya samay rok paayega..
Kal ki sochkar jeeyega
Toh ek din zaroor pachtaayega!

Thursday, 15 September 2016

Zinda ho tum.

Ek ummeed lekar jee rahe ho,
Toh zinda ho tum.
Seene mein aag lekar badh rahe ho,
Toh zinda ho tum.
Kuch paane ki chah ho,
Kuch khone ka darr nahi,
Khwaabon ke taraf chal rahe ho,
Toh zinda ho tum.
Harr din sangharsh hain ek phir bhi,
Zindagi se khushi chura rahe ho,
Toh zinda ho tum.
Woh jeena bhi kaisa jeena hain,
Jahaan umang na lakshya hain koi,
Bass waqt kaat rahe ho,
Toh kya ho tum?

Illusion.

An influential intellectual will shatter your existing illusion and leave you with another. Beware.

Showing posts with label Hindi. Show all posts
Showing posts with label Hindi. Show all posts

Saturday, 5 August 2017

Kaafi hai.

Lafzon ki zaroorat nahi,
Teri dhadkan hi kaafi hai..
Izhaar karne ki zaroorat nahi,
Teri muskuraahat hi kaafi hai..
Koi hal ki zaroorat nahi,
Tera hona hi kaafi hai..
Koi aur yaar, sansaar, ghar baar nahi chahiye mujhko..

Tere kandhon ka sahaara hi kaafi hai.

तुझमे वो जज़्बा है।

तू सिर्फ उठने की हिम्मत कर,
गिरना तो तक़दीर की बात है।
हौंसले की लौ को तूफानों में बुझने ना दे,
भूल मत, हर सवेरे की शुरुआत ही रात है।
किसी और पे निर्भर मत रह ए नादान,
अंदर झाँक ले ज़रा, तुझमे वो जज़्बा है जिससे बदलते हालात है। 

Tuesday, 30 May 2017

Thursday, 4 May 2017

वक़्त

कई बार ऐसा होता है,
के वक़्त मेरे साथ नहीं होता है।
पर मैं वक़्त का बुरा नहीं मानता,
वह दो पल का मेहमान है, उसे तोह गुज़रना ही होता है।

Thursday, 23 March 2017

तन्हाई

सब छोड़ गए हमे, सिर्फ तन्हाइयों ने साथ निभाया है,
अब ऐसी आदत पड़ गयी है इस तन्हाई की, के इसके बगैर अकेला महसूस करते है।

Monday, 6 March 2017

खुद ही को खोता चला गया।

औरों को लुभाने के चक्कर में,
कुछ और ही होता चला गया,
उनकी नज़रों में उठने के लिए,
खुद ही गिरता चला गया।
पाया तो कुछ भी नहीं इस पागल दौड़ में,
खुद ही को खोता चला गया।

Tuesday, 28 February 2017

Bhookh.

Apni bhookh mita lo saheb,
Fir jo bache usko छाँट lenge hum..
Bass bacha kucha tum fek na dena,
Usse aaj ki raat काट lenge hum..
Woh kya hai ki bachhe ka पेट hai,
Aukat nahi samajhta, samajhta sirf भूख hai..
Fir bhi khaana fekna chaaho,
Toh samajh lenge gareeb hona hi चूक hain..


Wednesday, 4 January 2017

Yeh safar.

Yeh safar, humsafar,
Kar gaya kuch aisa asar,
Na lautna chaahu ab main ghar,
Bass chalta rahe sadaa,
Yeh safar, humsafar.

Tuesday, 3 January 2017

Haasil.

Haasil.

Kuch aisa karke dikha,
Bann ja itna tu kaabil..
Ke tu manzil ko paaye na paaye,
Aa jaaye chahe kitni hi mushkil..
Teri tadap aur lagan dekh kar,
Khud manzil karle tujhko haasil.

Pyaar.

Arse beet gaye saath unke,
Socha sachha yaar tha woh..
Na jee paaye ek pal unke bin,
Harr mushkil mein taiyyar tha woh..
Aaj bhi woh humein yaar hi maante hain,
Kaun samjhaaye ki mera pyaar tha woh..

Wednesday, 21 December 2016

Taqdeer.

Iss darr ko haunsle mein tabdeel kar,
Apni aankhon mein kuch namumkin se sapne bhar,
Bahar nikal, chod aa apna ghar,
Dikha de duniya ko kya tujhme hain,
Apne haatho se apni taqdeer likh kar.

Friday, 16 December 2016

Raftaar.

Zindagi ki raftaar aisi ho ki hawaa ka rukh badal jaaye,
Sab dekhte rahe aur tu aasmaan ko chu jaaye..
Thamna tere taqdeer mein nahi,
Aise badh apni manzil ki aur,
Ki manzil khud paas aane parr majboor ho jaaye.

Wednesday, 30 November 2016

Main bhi khoobsoorat hu.

Meri tvacha ka rang nahi,
Rang hassee ka dekho zara..
Mere baalon ki lambai nahi,
Soch ki uchaai dekho zara..
Kabhi seene se nazar hataakar,
Iss dil mein jhaakon zara..
Bahar toh sirf dikhaawat hain mere yaar,
Meri asliyat ko ek mauka de do zara..
Khoobsoorat toh main bhi kam nahi,
Bass parakhne ka nazariyan badal do zara..

Thursday, 24 November 2016

Main woh hu.

Main woh hu jise tu jaanta nahi,
Door nahi hu tujhse,
Tujhi mein chipa hu kahin..
Aa mil mujhse, kuch baatein kar,
Jeena tujhko sikha du zara..
Kyu kisi aur pe nirbhar hain teri khushi,
Kya khud ki khushi pehchaanta nahi?
Teri uss khushi ka roop hu main,
Parr tu kambakht maanta nahi..

Saturday, 29 October 2016

Meri zindagi.

Tera saath hona zaroori nahi,
Meri saason mein hi teri maujoodgi hain..
Tera izhaar karna zaroori nahi,
Teri hasee mein hi manzoorgi hain..
Tujhe paana bhi zaroori nahi,
Iss doori mein hi meri aashiqui hain..
Tu chaahe yaad na karein mujhe,
Parr teri yaadon mein hi meri zindagi hain.

Tujhsa yaar!

Nahi jaanta hu main,
Kaisa aane waala kal hoga.
Mushkilein toh bahut hongi,
Shayad hi koi hal hoga.
Parr itni dua maangta hu main,
Ki tujhsa yaar harr pal hoga!

Sunday, 16 October 2016

Udta rahunga.

Rok lo chaahe jitna chaaho,
Haar na maanunga main.
Tum parr bhi le lo mere,
Fir bhi girne tak uddta rahunga main.
Tum kya kaid karoge mujhko,
Apne soch se hi udaan bharunga main.

Thursday, 22 September 2016

Parakh raha tha woh.

Bass apne pyaar ko parakh raha tha woh,
Kehta tha humaara pyaar toot jaayega,
Maine bhi keh diya tha uss se,
Woh din kabhi na aayega,
Tu hasega khud par, tu hi rooth jaayega,
Parr dil de baithi tum kisi aur ko,
Ab woh hum par haste hain,
Na bharosa hain ab pyaar pe,
Na koi manzil ab, na raste hain. 

Jee le.

Aaj hi ka waqt mila hain tujhko,
Jee le jo jee paayega..
Yeh ghadi, yeh pal yahaan jo,
Jaldi hi guzar jaayega..
Jo reyt ko na thaam saka hain,
Woh kya samay rok paayega..
Kal ki sochkar jeeyega
Toh ek din zaroor pachtaayega!

Thursday, 15 September 2016

Zinda ho tum.

Ek ummeed lekar jee rahe ho,
Toh zinda ho tum.
Seene mein aag lekar badh rahe ho,
Toh zinda ho tum.
Kuch paane ki chah ho,
Kuch khone ka darr nahi,
Khwaabon ke taraf chal rahe ho,
Toh zinda ho tum.
Harr din sangharsh hain ek phir bhi,
Zindagi se khushi chura rahe ho,
Toh zinda ho tum.
Woh jeena bhi kaisa jeena hain,
Jahaan umang na lakshya hain koi,
Bass waqt kaat rahe ho,
Toh kya ho tum?